Pakistan Army Song-Qasam Aus Waqat ki

PakArmedForces 2015-01-23

Views 6.9K

qasam us waqt ki, qasam us waqt ki (x2)
jab waqt ham ko aazmaata hai
jawaanon ki zubaan par nara-e-takbeer aata hai
qasam us waqt ki, qasam us waqt ki (x2)


hamain rehna hai apni sarzameen ka paasbaan ban kar
nabi ki hai dua fath-e-mubeen ka ek nishaan ban kar
karam Allah ka rehta hai...
karam Allah ka rehta hai sar par saeybaan ban kar
qasam us waqt ki, qasam us waqt ki (x2)


jawaanon ka yeh jazba unke imaan ki nishaani hai
watan baaqi rahe, yeh zindagi to aani jaani hai
yeh hi Allah ke shairon ka...
yeh hi Allah ke shairon ka tarz-e-zindagaani hai


qasam us waqt ki, qasam us waqt ki
jab waqt ham ko aazmaata hai
jawaanon ki zubaan par nara-e-takbeer aata hai
qasam us waqt ki, qasam us waqt ki

Share This Video


Download

  
Report form