Jab husn tha unka jalwanuma anwar ka alam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe didar ka alam kya hoga
Tum muqabil they to pehro chand barhta noor ka
Tum sey chhup kar munh nikal aya zara sa noor ka
Jab husn tha unka jalwanuma anwar ka alam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe didar ka alam kya hoga
Dil ko deed-e-rukh-e-Mustafa chahiye aine ke lie aina chahiye
Kal to deedar ka din aur yahan ankh bekar hai kya hona hai
Jab husn tha unka jalwanuma anwar ka alam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe didar ka alam kya hoga
Jiss waqt they khidmat mein unki Abu Bakr-o-Umar Usman-o-Ali
Uss waqt Rasool-e-Akram ke darbar ka alam kya hoga
Ik samt Ali ik samt Umar Siddique idhar Usman udhar
Un jagmag jagmag taron mein mahtab ka alam kya hoga
Chahein to ishare sey apne kaya hi palat dein dunya ki
Yeh shaan hai khidmat-garon ki to sakar ka alam kya hoga
Allah o ghani sub'han allah kya khoob hai roze ka naqsha
Iss paar ka jab yeh alam hai to uss paar ka alam kya hoga
jab sham-e-Risalat roshan ho kyunkar na jaley parwana idhar
Jab rashq-e-maseeha ajaye to bimar ka alam kya hoga
Laraib Arab ke zarron par anwar ki barish hoti hai
Ay najam najane taiba ke gulzar ka alam kya hoga