Mansoor Malangi
Woh Jis Ka Naam Bhi Liya Paheliyon Ki Oat Mein
Nazar Pari To Chup Gayi Saheliyon Ki Oat Mein
Rukay Gye Sharm Se Kahan Yeh Khaal-O-Khad Ki Roshni
Chupay Ga Aftab Kiya Hatheliyon Ki Oat Mein
Tere Mere Milap Per Woh Dushmano Ki Saazishen
Woh Saanp Rengte Huye Chambeliyon Ki Oat Mein
Woh Tere Ishtiyaaq Ki Hazaar Hela Saaziyaan
Woh Mera Izteraab Yaar Beliyon Ki Oat Mein
Chalo Keh Hum Bujhay Bujhay Se Ghar Ka Marsia Kahen
Woh Chaand To Utar Gaya Haveliyon Ki Oat Mein