mujhe to qatra hī honā bahut satātā hai
isī liye to samundar pe rahm aatā hai
vo is tarah bhī mirī ahmiyat ghaTātā hai
ki mujh se milne meñ sharteñ bahut lagātā hai
bichhaḌte vaqt kisī aañkh meñ jo aatā hai
tamām umr vo aañsū bahut rulātā hai
kahāñ pahuñch ga.ī duniyā use pata hī nahīñ
jo ab bhī maazī ke qisse sunā.e jaatā hai
uThā.e jaa.eñ jahāñ haath aise jalse meñ
vahī burā jo koī mas.ala uThātā hai
na koī ohda na degrē na naam kī taḳhtī
maiñ rah rahā huuñ yahāñ merā ghar batātā hai
samajh rahā ho kahīñ ḳhud ko merī kamzorī
to us se kah do mujhe bhūlnā bhī aatā hai
مجھے تو قطرہ ہی ہونا بہت ستاتا ہے
اسی لیے تو سمندر پہ رحم آتا ہے
وہ اس طرح بھی مری اہمیت گھٹاتا ہے
کہ مجھ سے ملنے میں شرطیں بہت لگاتا ہے
بچھڑتے وقت کسی آنکھ میں جو آتا ہے
تمام عمر وہ آنسو بہت رلاتا ہے
کہاں پہنچ گئی دنیا اسے پتہ ہی نہیں
جو اب بھی ماضی کے قصے سنائے جاتا ہے
اٹھائے جائیں جہاں ہاتھ ایسے جلسے میں
وہی برا جو کوئی مسئلہ اٹھاتا ہے
نہ کوئی عہدہ نہ ڈگری نہ نام کی تختی
میں رہ رہا ہوں یہاں میرا گھر بتاتا ہے
سمجھ رہا ہو کہیں خود کو میری کمزوری
تو اس سے کہہ دو مجھے بھولنا بھی آتا ہے
Facebook:
https://web.facebook.com/ZeeandPoetry
Twitter:
https://twitter.com/ZeeandPoetry
Instagram:
https://www.instagram.com/zeeandpoetry/
#Zee&Poetry